Kinaare aur Kashtiyaan

Kya tha aur kya hoga ke beech main

Kho gaya hoon main
Kinaron ka peecha karte main
Kashti apni bhool gaya hoon main
Kinare rukne ke liye hai
Aur kashtiyan tairne ke liye
To fir ruke kyon
Aur tairna roke kyon
Ki manzil abhi door hai
Aur kinare manzil nahi
Kya hai to sirf ab ki kashti

Comments