Zindagi maut ke pyaale mein piye jaayen

Yeh kahan aa gaye hum
Na aage jaane ki icha hai
Naa hi peeche mudke dekhne ki himmat
Jiyon to kis liye, kiske liye,
Na maksad, na chaahat, na intezaar, na aas
Kshitij se khelte rahe aankh micholi
Sooraj ko doobta dekhte rahe aur kuch na kar paaye
Aur aaj chaand bhi naseeb se ruth gayi
Raat ka andhera kabhi uththa nahin
Ab baaki hai to sirf dar
Dar lagta hai agle kadam se
Dar lagta hai har ek lamhe se
Dar lagta hai saamne ke andhkaar se
Dar lagta hai kahin chook na jaaye
Dar lagta hai kahin gir na jaaye
Dar lagta hai kahin haar na jaaye
Aur Zindagi maut ke pyaale mein piye jaayen


My first attempt at poetry in Hindi..........

Comments

msr said…
Good one, Sir! :)
Keep them coming...
Suraj said…
thank you :)